Raat Ab Nahi Soti

a hand resting on a window glass

Raat ab nahi soti,
Din hai ki shuru nahi hota,
Kal ka intejaar kya karun ab,
Aaj hai ki khatm hi nahi hota,

Band hun aise pinjre mein,
Jisme salakhein nahi hain,
Ye char diwari jo ban gayi hai meri kaid,
Kehti hai isme meri hi bhalai hai,

Pehle aadat thi akelepan ki,
Shauk hua karta tha khud ko akela kehna,
Aaj tanhayi mili hai arse baad muraad mein,
Toh majburi hi ho gaya akela rehna,

Ajeeb si khamoshi pasri padi hai sadkon par,
Par dil mein kohraam macha hai,
Subah se shaam beet gayi auron ko tasalli dete dete,
Par andar khud ko khud ka hi nahi pata hai,

Shikayat thi logon ki pehle,
Khud ke liye waqt hi nahi hai,
Aaj waqt ki balti jo chhalki,
Logon ke paas karne ko kuch hi nahi hai,

Insaan band hain kamron mein,
Kudrat ko shayad thodi saans mili hai,
Fursat nahi thi jin rishton ko pehle kabhi,
Unko bhi ab chhuti mili hai,

Sona chahti hain palkein,
Par raat ab nahi soti,
Subah toh hogi jarur,
Par din hai ki shuru nahi hota,
Kal ka intezaar kya karun ab,
Mera aaj hi khatm nahi hota…
-N2S
26032020