Apna Khayal Rakhna

Tumko dekhta hun toh bas ye sochta hun,
Kaise tumhe sajaun, kaise tumhe sanwarun,
Tum toh ho pehle se hi hiron si chamakti,
Ab tumhe aur kaise chamkaun?
Har ghadi ye khyaal aata hai,
Kaisi hogi tum, kya kar rahi hogi,
Tumhari toh fitrat hai khud jalkar jahan roshan karne ki,
Ab tere siddhepan par kab tak tujhe samjhaun,
Naadan nahi, bholi ho tum,
Chaalbaaz nahi, samajhdar ho tum,
Par meri chhoti, ye jahan nahi itna bhi seedha,
Yahan kadwa neem bhala hai toh zehar meetha,
Tum seekho karna achhon mein buron ka farak,
Bas itna sa chahaun,
Khair Zindagi ke taraazu mein khushiyon ke saath kuch gam bhi tulengi,
Par tum kar logi raaste thik jo kuch rukawatein milengi,
Tumpar bharosa hai, tumhari zidd par bhi,
Par tum ho toh mere liye phir bhi bachhi,
Kaise ye kambhakht dil ko manaun,
Tumhare baalon mein haath ferte ferte bas yahi sochta hun,
Jo tujhe thik lage karna, bas tu thik se rehna,
Ke tu hansti hai toh main khush rehta hun,
Main teri khushi mein apni hansi dhundhta hun,
Kabhi jo tu jaane lage mujhse dur bas itna yaad rakhna,
Main aaj bhi teri aawaz sunne par pighalne lagta hun…
-N2S
03082020

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!